
Rotary International har saal mukhlis aur kaabil leaders ko “Rotary Peace Fully Funded Scholarships for 2025” ke zariye mukammal fund shuda scholarships faraham karta hai, taa ke woh duniya ke behtareen universities mein Master‘s degree ya Professional Development Certificate haasil kar saken.
Yeh fellowship un afraad ke liye hai jo aman aur conflict resolution ke field mein kaam kar rahe hain aur apni skills aur knowledge ko barhawa dena chahte hain.

Rotary Peace Fully Funded Scholarships for 2025 Details:
- Scholarship Country: USA
- Degree Level: Master’s Degree, Short Certificate Program
- Duration: 24 Months, 3 Months
- Financial Coverage: Fully Funded
- Important Date: 15 May 2025
Rotary Peace Fully Funded Scholarships for 2025 Types:
- Master’s Degree Program:
- Muddat: 15 se 24 maheenay
- Universities: Duniya bhar ki naamwar universities jaise ke Duke University (USA), University of North Carolina (USA
- Professional Development Certificate Program:
- Muddat: Ek saal ka blended learning program
- Universities: Chulalongkorn University (Thailand), Makerere University (Uganda), aur Bahçeşehir University (Turkey) is program ko offer karti hain.
Eligibility Criteria for Rotary Peace Fully Funded Scholarships for 2025:
Master’s Degree Program ke liye:
- Taleemi Ahliat: Bachelor’s degree ka hona zaroori hai.
- Tajurba: Aman ya taraqqi ke kaam mein kam az kam 3 saal ka full-time tajurba.
- Zabaan: English mein maharat.
- Qiyadat ki Salahiyat: Cross-cultural understanding aur aman ke liye mazboot irada aur leadership potential.
- Taleemi Waqfa: Aakhri taleemi program aur fellowship ke aghaz ke darmiyan kam az kam 3 saal ka waqft.
Certificate Program ke liye:
- Taleemi Ahliat: Bachelor’s degree ka hona zaroori hai.
- Tajurba: Aman ya taraqqi ke kaam mein kam az kam 5 saal ka full-time tajurba.
- Zabaan: English mein maharat. Rotary Peace Fully Funded Scholarships for 2025
- Qiyadat ki Salahiyat: Cross-cultural understanding aur aman ke liye mazboot irada aur leadership potential.
- Taleemi Waqfa: Aakhri taleemi program aur fellowship ke aghaz ke darmiyan kam az kam 3 saal ka waqfa
Application Process for Rotary Peace Fully Funded Scholarships for 2025:
- Online Application: Applicants ko Rotary Peace Fellowship ki website par online application form bharna hoga.
- Rotary Club Endorsement: Application ko kisi maqami Rotary club se endorse karwana zaroori hai.
- District Level Review: Rotary district committee application ka jaiza legi aur recommendation bhejegi.
- Final Selection: Rotary Foundation final selection karegi aur successful applicants ko agah kiya jayega.
Required Documents:
- Resume/CV
- Academic Transcripts
- Professional/Academic Recommendations
- Personal Statement Essays
- English Language Proficiency Test Scores (Master’s applicants ke liye)
- Social Impact Plan (Certificate program applicants ke liye)
- Personal Video Statement
Important Date:
- Application Submission: 15 May, 2025 tak online application submit karni hogi.
- District Endorsement Submission: 1 July, 2025 tak district endorsement Rotary Foundation ko bhejni hogi.
Financial Coverage:
- Tuition Fees: Mukammal tuition fees ki adai. Rotary Peace Fully Funded Scholarships for 2025
- Living Expenses: Rehne, khane aur maqami safar ke liye monthly stipend.
- Travel Costs: Host university tak aane jaane ke airfare aur mutaliqa safar ke kharche.
- Field Experience: Aman ke field mein practical tajurba ya internships ka mauqa.
- Networking: Global Rotary network ke professionals aur peacebuilders se rabta.
Common Mistakes to Avoid:
- Incomplete Applications: Mukammal aur sahi maloomat faraham karna zaroori hai.
- Late Submissions: due date ka khayal rakhein.
- Lack of Clarity: Apne goals aur aman ke liye commitment ko wazeh tareeqe se bayan karen.
Networking Opportunities:
Fellows ko global peacebuilders aur Rotary members ke network se faida uthane ka mauqa milta hai, jo unke career aur personal growth mein madadgar hota hai.
Post-Scholarship Obligations:
Fellows se tawaqqo ki jati hai ke woh apne mulkon mein aman aur taraqqi ke kaam mein hissa lein aur Rotary ke sath rabta barqarar rakhein
Contact Information:
Zyada maloomat ke liye apne maqami Rotary club se rabta karen ya Rotary Peace Fellowship ki official website dekhein.